raat phaili hai tere surmai aanchal ki tarah chand nikla hai tujhe dhundne pagal ki tarah khushk patton ki tarah log ude jate hain shahr bhi ab to nazar aata hai jangal ki tarah phir khayalon mein tere qurb ki khushbu jagi phir barasne lagi aankhen meri baadal ki tarah be-wafaon se wafa kar ke guzari hai hayat main barasta raha viranon mein baadal ki tarah