raat sunsan dasht o dar KHamosh

raat sunsan dasht o dar khamosh
chand tare shajar hajar khamosh

koi aawaz-e-pa na bang-e-jaras
karwan aur is qadar khamosh

har taraf ek muhib sannata
dil dhadakta to hai magar khamosh

hue jate hain kis liye aakhir
ham-safar baat baat par khamosh

hain ye aadab-e-rahguzar ki khauf
rah-rau chup hain rahbar khamosh

mukhtasar ho na ho shab-e-tarik
hum ko jalna hai ta sahar khamosh

dhal chuki raat bujh gain shamen
rah takti hai chashm-e-tar khamosh

jaane kya baat kar rahe the ki hum
ho gae ek nam par khamosh

hum se 'shair' bhi ho gae aakhir
rang-e-haalat dekh kar khamosh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close