pindar-e-zohd ho ki ghurur-e-barhamani is dair-e-but-shikan mein hai har but shikastni sarsar chale ki tund bagulon ka raqs ho mauj-e-numu rawan hai to har gul shaguftani gul-chin-o-gul-farosh ki khatir hai fasl-e-gul aur qismat-e-junun hai faqat chaak-damani diwar-e-abr khinchiye kirnon ki rah mein zarron mein qaid kijiye suraj ki raushni mauj-e-nafas se larze hai tar-e-rag-e-hayat phaili hai shahr-e-dil mein wo pur-haul sansani