raat tahriron ki ab yaksar khayali ho gai lafz jab jage ibarat bhi nirali ho gai anginat chehre the shahr-e-dil mein lekin kya kahun waqt ka saya pada basti ye khali ho gai jin ka ek ek lafz tha muzhda nae mausam ke nam haif un safhat ki surat bhi kali ho gai dil ke mahbas se chale the qafile yaadon ke par ek kiran palkon ki suli par sawali ho gai ham-safar shaistagi thi rahguzar-e-zist mein phir bhi jis se baat ki har baat gali ho gai hadson ki dhund se fankar ne jis ko gadha shukr hai us but ki peshani ujali ho gai kaise is mausam ko daur-e-gul kahun 'umid' main rang se mahrum jab ek ek dali ho gai