intiha zoaf ki hai saf numayan mujh se ramaq-e-jaan mein mera jism hai pinhan mujh se shor hai wo na wahan aur na yahan wo sunsan shahr viran hai aabaad bayaban mujh se bas-ki mushkil ko samajh rakkha hai main ne aasan mushkilen karte hain hal apne khud aasan mujh se daman-e-dasht hai aur phir mera pa-e-wahshat phir hua josh-e-junun dast-o-gareban mujh se shab-e-tanhai mein 'besabr' ba-qaul-e-'ghaalib' saya khurshed qayamat mein hai pinhan mujh se