raat wahshat se gurezan tha main aahu ki tarah panw padti rahi zanjir bhi ghungru ki tarah ab tere laut ke aane ki koi aas nahin tu juda mujh se hua aankh se aansu ki tarah ab hamein apni jihaalat pe hansi aati hai hum kabhi khud ko samajhte the arastu ki tarah han tujhe bhi to mayassar nahin tujh sa koi hai tera arsh bhi viran mere pahlu ki tarah naz o andaz mein shaista sa wo husn-e-nafis hu-ba-hu jaan-e-ghazal hai meri urdu ki tarah