raaten wo dil-fareb bahaaren wo KHwab ki

raaten wo dil-fareb bahaaren wo khwab ki
piri mein yaad aai hain baaten shabab ki

rindon ki bazm aur burai sharab ki
waiz ne apni aap hi mitti kharab ki

yun dhajjiyan udain nazar ne naqab ki
tanwir chhan rahi hai rukh-e-pur-hijab ki

shabnam dikha rahi hai jhalak inqalab ki
maujen suna rahi hain kahani habab ki

ghunchon ko gudguda ke jagaya nasim ne
phulon se khelti hai kiran aaftab ki

pir-e-mughan ke zarf pe harf aa raha hai aaj
khali dikha raha hai surahi shabab ki

dil ka lagao dil se nazar ka nazar se hai
hajat sawal ki na zarurat jawab ki

apna tariq 'zabt' zamane se hai juda
fikr-e-azab hai na tamanna sawab ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close