na jaane wade ka kyon eatibar ab bhi hai

na jaane wade ka kyon eatibar ab bhi hai
guzar gai hai shab aur intizar ab bhi hai

kaho to kahne ko kah den ki shad hai duniya
jo be-qarar tha wo be-qarar ab bhi hai

gharaz ke dost the jitne wo uth gae lekin
tumhaare dar pe yahi jaan-nisar ab bhi hai

khizan hai ya koi ruthi hui bahaar hai ye
nahin jo gul to gulistan mein khar ab bhi hai

idhar to jama-dari kar rahe hain diwane
udhar wo kahte hain daman mein tar ab bhi hai

hamari khak abhi tak hai ku-e-jaanan mein
mazar go nahin lekin ghubar ab bhi hai

khizan khizan hai bahaaron mein bhi sukun nahin
jo khar tha mere dil mein wo khar ab bhi hai

bahaar jate hi go sab badal gae naqshe
meri nazar mein wo jaan-e-bahaar ab bhi hai

ye kah rahe hain zamane ke dekhne wale
dilon mein jaisa tha pahle ghubar ab bhi hai

badal gaya ho zamana hamein nahin malum
wo tha shiar jo apna shiar ab bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close