raaton ko din ke sapne dekhun din ko bitaun sone mein mere liye koi farq nahin hai hone aur na hone mein barson baad use dekha to aankhon mein do hire the aur badan ki sari chandi chhupi hui thi sone mein dharti teri gahrai mein honge mithe sot magar main to sarf hua jata hun kankar patthar dhone mein ghar mein to ab kya rakkha hai waise aao talash karen shayad koi khwab pada ho idhar udhar kisi kone mein sae mein saya ulajh raha tha chahat ho ki adawat ho dur se dekho to lagte the suraj chand bichhaune mein