tha ghair ka jo ranj-e-judai tamam shab nind un ko mere sath na aai tamam shab shikwa mujhe na ho jo mukafat had se ho wan sulh ek dam hai ladai tamam shab ye dar raha ki sote na paen kahin mujhe wade ki raat nind na aai tamam shab sach to ye hai ki bol gae aksar ahl-e-shauq bulbul ne ki jo nala-sarai tamam shab dam bhar bhi umr khoi jo zikr-e-raqib mein kaifiyat-e-visal na pai tamam shab thoda sa mere haal pe farma kar iltifat karte rahe wo apni badai tamam shab wo aah tar o paud ho jis ka hawa-e-zulf karti hai ambari o sabai tamam shab wo subh jalwa jalwagar-e-bagh tha jo raat murgh-e-sahar ne dhum machai tamam shab afsane se bigad hai an-ban hai khwab se hai fikr-e-wasl o zikr-e-judai tamam shab jis ki shamim-e-zulf pe main ghash hun 'shefta' us ne shamim-e-zulf sunghai tamam shab