raaz-e-alam se hai shayad ki mera raaz juda

raaz-e-alam se hai shayad ki mera raaz juda
mujh se milne mein hai us aankh ka andaz juda

koi aisi nafson se bhi ho dam-saz juda
dil ka andaz juda saz juda raaz juda

bad-guman ishq ko sad wahm-o-yaqin ke khatke
shokhi-e-chashm sukhan-saz hai ghammaz juda

yun hi kya kam hai teri yaad ki dil ko chheden
zulf-e-pur-kham lab-e-rangin nigah-e-naz juda

uqda-e-pech-o-kham-e-zulf ka khulna malum
raaz-e-alam se hai ye silsila-e-raaz juda

tangi-o-wusat-e-kaunain mein nisbat kaisi
dar-e-tauba se dar-e-mai-kada ho baz juda

aah-o-zari se kabhi saz-e-mohabbat na chhuda
gham ka andaz juda ishq ka andaz juda

husn ki shah talawwun udhar ek aafat-e-jaan
wahime dil ke udhar tafarqe parwaz juda

barq-e-awaz jala de ye niyastan-e-jahan
saz-e-hasti se hai saz-e-lab-e-eajaz juda

badhte bhi jate hain sab ahl-e-jahan su-e-adam
umr-e-rafta bhi diye jati hai aawaz juda

pai-ba-pai udte hue hosh ke andaz alag
tarz-e-barq-e-nigah-e-husn-e-junun-saz juda

nigah-e-naz diye jati hai paigham-e-hayat
maut se khel rahe hain tere jaanbaz juda

kuchh ishaare hain udhar shokhi pinhan ke 'firaq'
hai sukut-e-nigah-e-naz sukhan-saz juda


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close