wo apne ishq mein kaisa kamal rakhta hai ki be-rukhi mein bhi mera khayal rakhta hai jo aaj mera nahin hai wo kal mera hoga ki har zamana uruj-o-zawal rakhta hai ajab nahin wo jahan-bhar ko bewafa samjhe nazar mein meri wafa ki misal rakhta hai kahan talak koi dast-e-karam ko zahmat de tamam-shahr hi dast-e-sawal rakhta hai meri udan ke aage hai kis qadar bebas ye aasman jo sitaron ka jal rakhta hai tera khayal hi kuchh mehrban hai warna jahan main kaun kisi ka khayal rakhta hai muqabil-e-saf-e-ada hai is tarah 'khawar' ki tegh rakhta hai wo aur na dhaal rakhta hai