raaz-e-dil kya zaban se nikla ghar ka bhedi makan se nikla kya mila haal-e-dil bayan kar ke kya natija bayan se nikla ho gaya ham-kanar-e-manzil-e-shauq dil jo wahm-o-guman se nikla raat khalwat mein chain se guzri dil ka arman shan se nikla aa gaya dil ka khun mizhgan par dur-e-shahwar kan se nikla jab kaha main ne aap aaenge yak-ba-yak han zaban se nikla honge donon jahan tah-o-baala wo kabhi la-makan se nikla wo ye kahte hain khinch lenge zaban harf koi zaban se nikla aah yun dil se sham-e-gham nikli tir jaise kaman se nikla lab khule rah gae sar-e-mahfil kya kaha kya zaban se nikla muft mein ai 'girami' khwar hue kaam kya pasban se nikla