sar pe dale hue wo gard-e-malal aata hai jab use meri wafaon ka khayal aata hai main jo chahun to badal dun abhi nazm-e-alam kya karun teri mashiyyat ka khayal aata hai kaun hota hai bure waqt ka sathi hum dam aise aalam mein kise kis ka khayal aata hai fitne uth uth ke qadam-bos hue jate hain kis qayamat ki wo chalte hue chaal aata hai koi aata to hai taskin ki khatir ai dil wo na aaen na sahi un ka khayal aata hai sari duniya nazar aati hai 'girami' tarik jab mujhe dil ki tabahi ka khayal aata hai