raaz-e-dil late hain zaban tak hum dukh bharen ai khuda kahan tak hum aur wo hum se khinchte jate hain minnaten karte hain jahan tak hum na uda baghban ki gulshan-e-dil aur hain aamad-e-khizan tak hum aap ke lutf ne to qahr kiya khub the jaur-e-asman tak hum aasman tak gaya hai sail-e-sarishk dil ko roya karen kahan tak hum un ka aana bhi ab nahin manzur jaan se tang hain yahan tak hum tera paigham bhi suna denge ai 'hasan' pahunchen to wahan tak hum