mil gaya dil nikal gaya matlab

mil gaya dil nikal gaya matlab
aap ko ab kisi se kiya matlab

husn ka roab zabt ki garmi
dil mein ghut ghut ke rah gaya matlab

na sahi ishq dukh sahi naseh
tujh ko kya kaam tujh ko kya matlab

muzhda ai dil ki nim-jaan hun main
ab to pura hua tera matlab

apne matlab ke aashna ho tum
sach hai tum ko kisi se kya matlab

aatish-e-shauq aur bhadki hai
munh chhupane ka khul gaya matlab

kuchh hai matlab to dil se matlab hai
matlab-e-dil se un ko kya matlab

un ki baaten hain kitni pahlu-dar
sab samajh len juda juda matlab

us ko ghar se nikal kar khush ho
kya 'hasan' tha raqib ka matlab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close