raaz-e-giraftagi na asir-e-lahn se puchh ye baat apni zulf-e-shikan-dar-shikan se puchh aawargi ke lutf na sarw-o-saman se puchh wahshat mein kya maza hai hawa-e-chaman se puchh mardan-e-haq ka azm shahidan-e-haq ka jurm dil-dadgan-e-shewa-e-dar-o-rasan se puchh kya sham-e-gham mein dida-o-dil par guzar gai un taza wardan-e-bisat-e-kuhan se puchh lazzat-kashan-e-saghar-e-ishrat ko kya khabar ranj-e-khumar talkhi-e-kaam-o-dahan se puchh sahn-e-chaman mein lala-o-gul par tere baghair kya kya guzar rahi hai bahaar-e-chaman se puchh aaghaz-e-irtibaat-o-talluq ke waqiat kuchh apne hosh kuchh mere diwana-pan se puchh ai fasl-e-gul mizaj jarahat-rasidgan gar ho sake to lala-e-khunin kafan se puchh jo teri mashq-e-naz se pamal ho gaya apna mizaj-e-naz usi khasta-tan se puchh afsana-e-bahaar asir-e-qafas se sun yaad-e-watan ka lutf kisi be-watan se puchh ai dost hum se kufr-e-mohabbat ka dars le asrar-e-kafiri na but-e-barahman se puchh hum bhi kabhi the anjuman-ara-e-arzu us jaan-e-bazm-o-zeb-dah-e-anjuman se puchh hum bhi kabhi the yusuf-e-kanan-e-rang-o-bu pir-e-zaif-o-pir zan-o-pairhan se puchh