mere alfaz mein asar rakh de sipiyan hain to phir guhar rakh de be-khabar ki kahin khabar rakh de hasil-e-zahmat-e-safar rakh de manzilen bhar de aankh mein us ki us ke pairon mein phir safar rakh de chand-lamhe koi to susta le rah mein ek do shajar rakh de gar shajar mein samar nahin mumkin us mein saya hi shakh-bhar rakh de kal ke akhbar mein tu jhuti hi ek to achchhi si khabar rakh de tu akela hai band hai kamra ab to chehra utar kar rakh de