raaz-e-tauhid to kasrat mein chhupa hai ai dost saikdon jalwe hain ek jalwa-numa hai ai dost ek zamana yahan diwana bana hai ai dost tere kuche ki hawa hosh-ruba hai ai dost ishrat-e-hasil-e-isyan mein kahan wo lazzat ba-khuda tark-e-gunah mein jo maza hai ai dost surma-e-tur ho ya khak-e-shifa ya iksir sab se badh kar teri khak-e-kaf-e-pa hai ai dost kya karen jaan na de den jo mohabbat wale har ada husn ki paigham-e-qaza hai ai dost tu ne kis aisi nigahon se azal mein dekha aaj tak khauf se dil kanp raha hai ai dost qail-e-hashr-o-qayamat to sabhi hain lekin tere wade ka yaqin kis ko hua hai ai dost jaanta kaun nahin ahd-e-wafa ko tere wo bhi minjumla-e-andaz-e-jafa hai ai dost us zamin par kiya karte hain farishte sajde tere kushton ka jahan khun baha hai ai dost gham tere jalwon mein ho jati hain nazren un ki dekhne walon se tere ye suna hai ai dost taj-e-khusraw se gharaz us ko na takht-e-jam se 'afqar'-e-khak-nashin tera gada hai ai dost