rabt asiron ko abhi us gul-e-tar se kam hai ek rakhna sa hai diwar mein dar se kam hai harf ki lau main udhar aur badha deta hun aap batlaen to ye khwab jidhar se kam hai hath duniya ka bhi hai dil ki kharabi mein bahut phir bhi ai dost teri ek nazar se kam hai soch lo main bhi hua chup to giran guzrega ye andhera jo mere shor o sharar se kam hai wo bujha jae to ye dil ko jala de phir se sham hi kaun si rahat mein sahar se kam hai khak itni na udaen to hamein bhi 'babar' dasht achchha hai ki virani mein ghar se kam hai