tujh ko ab koi shikayat to nahin ye magar tark-e-mohabbat to nahin meri aankhon mein utarne wale dub jaana teri aadat to nahin tujh se begane ka gham hai warna mujh ko khud apni zarurat to nahin khul ke ro lun to zara ji sambhle muskurana hi masarrat to nahin tujh se farhad ka tesha na utha is junun par mujhe hairat to nahin phir se kah de ki teri manzil-e-shauq mera dil hai meri surat to nahin teri pahchan ke lakhon andaz sar jhukana hi ibaadat to nahin