rabt kis se tha kise kis ka shanasa kaun tha shahr bhar tanha tha lekin mujh sa tanha kaun tha main samundar tha magar viran tha sahra ki tarah mere ghar tak chal ke aata itna pyasa kaun tha reza-e-sang-e-ana tha rah ka koh-e-giran badh ke lag jata mere sine se aisa kaun tha sath par khamoshiyon ki gunj hai nauha-kunan apni gahrai ke dariya mein jo duba kaun tha zat aakhir zat thi shahkar phir shahkar thi kis ke fan ke waste se kis ko samjha kaun tha panw dharti par the lekin zehn the aakash par sab ke sab meri tarah bikhre the yakja kaun tha kuchh bure the kuchh bhale the khar kuchh gulzar kuchh har koi insan tha aakhir farishta kaun tha wo bhadak uttha to 'khalid' sochta hi rah gaya khub-ru paikar ke andar tund-khu sa kaun tha