kha ke tegh-e-nigah-e-yar dil-e-zar gira mardum-e-did pukare ki wo sardar gira wae-ruswai-e-dil aam hui ishq ki bu shisha-e-mushk baghal se sar-e-bazar gira na utha khak-e-muzillat se kabhi misl-e-sarishk jo nazar se tere ai shokh-e-jafa-kar gira qadam andaze se bahar na kabhi rakh ai dil jo chala daud ke aakhir dam-e-raftar gira na-tawani ne bataya hai namazi mujh ko main kai bar utha aur kai bar gira ishwa o ghamza o andaz o ada hain qatil kishwar-e-dil pe mere lashkar-e-jarrar gira