rabt sahra se arsh ka dekha baadalon ka jo qafila dekha kahkashan ka wo aks hi to tha main ne lahron mein rasta dekha dali dali pe baith kar main ne phal chakha aur zaiqa dekha charkh ka pairahan to maila tha dahr ka pairahan naya dekha itna hi qurb ka hua ehsas jitna mabain fasla dekha jaeza jab liya bulandi ka sheb se us ka wasta dekha yun laga har jawan muammar hai us ke hathon mein jo asa dekha wo to bagule ka ham-nawa hoga jis ko main tang par khada dekha be-karan is liye hua sagar us ne sahil ko jo khafa dekha kya gagan arz ki kashish mein tha us ko jo khak se ata dekha mir-e-maidan ki to hai baat alag kya mera ran mein hausla dekha sar juda tha sharir se jaise main ne bas ped ka tana dekha har tarah us ka ehtiram kiya jis ko apne se kuchh bada dekha tu to maidan ka makin tha 'figar' kab pahadon ka silsila dekha