wo aap ke qarin hai use dekhna nahin

wo aap ke qarin hai use dekhna nahin
wo bhi to mah-jabin hai use dekhna nahin

jis ghar mein jaguzin hai use dekhna nahin
kis kis ka ham-nashin hai use dekhna nahin

jo satah par hai chiz use dekhna hi kya
jo chiz tah-nashin hai use dekhna nahin

shayad tere jamal ko samt ek nai mile
tujh se bhi jo hasin hai use dekhna nahin

dharti pe rengte hue dekhe to honge sanp
jo mar-e-astin hai use dekhna nahin

upar se chaq-o-chust wo lagta zarur hai
andar se wo hazin hai use dekhna nahin

raqsan thi lab pe us ke wo muskan dekh li
chin se jo pur-jabin hai use dekhna nahin

jo chal diya kahin to use mil na paega
wo to abhi yahin hai use dekhna nahin

mana pisar kaput hai lakht-e-jigar to hai
ye sans wapsin hai ise dekhna nahin

tere wajud ki jo kabhi tarjuman thi
han ye wo yasmin hai ise dekhna nahin

jo khak se bana hai use dekhta hai tu
jo jism-e-atishin hai use dekhna nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close