rabta lakh sahi qafila-salar ke sath hum ko chalna hai magar waqt ki raftar ke sath gham lage rahte hain har aan khushi ke pichhe dushmani dhup ki hai saya-e-diwar ke sath kis tarah apni mohabbat ki main takmil karun gham-e-hasti bhi to shamil hai gham-e-yar ke sath lafz chunta hun to mafhum badal jata hai ek na ek khauf bhi hai jurat-e-izhaar ke sath dushmani mujh se kiye ja magar apna ban kar jaan le le meri sayyaad magar pyar ke sath do ghadi aao mil aaen kisi 'ghaalib' se 'qatil' hazrat 'zauq' to wabasta hain darbar ke sath