kyunki diwana bediyan tode is ko jaane hai panw ke tode sab ne moda hai munh khuda na kare teri tarwar hum se munh mode tere kuche mein sar shahidon ke hain pade jaise bat ke rode zarf tuta to wasl hota hai dil koi tuta kis tarah jode ek parwaz mein dikhaun par jo wo sayyaad mere tain chhode kohkan jaan-kani hai mushkil kaam warna bahtere hain pathar phode har ghadi hum ko aazmana kya chahne wale aur hain thode qatl karta hai tu jo 'hatim' ko kaun uthawega tere naktode