rabta rakh tirgi se raushni ko chhod de jo aziyyat-nak ho aisi khushi ko chhod de jaante sab hain ki is ke baad hai daur-e-khizan kyun na daman-e-bahaar-e-zindagi ko chhod de waqt apne aap mein ek fitna-e-bedar hai waqt ke kahne pe koi kyun kisi ko chhod de is se pahle tujh ko nazron se gira de ye jahan man le kahna khudara be-hisi ko chhod de waqt par 'anjum' na tere kaam aaega koi doston se pher le munh dosti ko chhod de