thahri thahri si tabiat mein rawani aai aaj phir yaad mohabbat ki kahani aai aaj phir nind ko aankhon se bichhadte dekha aaj phir yaad koi chot purani aai muddaton baad chala un pe hamara jadu muddaton baad hamein baat banani aai muddaton baad pasheman hua dariya hum se muddaton baad hamein pyas chhupani aai muddaton baad khuli wusat-e-sahra hum par muddaton baad hamein khak udani aai muddaton baad mayassar hua man ka aanchal muddaton baad hamein nind suhani aai itni aasani se milti nahin fan ki daulat dhal gai umr to ghazlon pe jawani aai