rabta tut na jae kahin khud-bini se dil laraz uttha hai mahaul ki sangini se hausla hai to sarabon mein utar kar dekho zinda rahna to ibarat hai khush-aini se ab sar-e-akhir-e-shab lae ho suraj ki khabar yun tamasha na karo subh ki rangini se na burudat thi na hiddat thi ajab mausam tha chot khaya kiye hum apni hi kaj-bini se aankh pathrai hui aur zaban gung ki jab zarf mitti ke bane aur badan chini se dard talkhaba-e-ehsas mein zam ho ke raha qatl-gah pat gai alfaz ki shirini se samne aa ke jo wo hath milae to sahi mujh ko haul aata hai us shakhs ki miskini se