jo hai arsh par wahi farsh par koi khas us ka makan nahin wo yahan bhi hai wo wahan bhi hai wo kahin nahin wo kahan nahin ye nasib tere shahid ka ki kamal-e-shauq tha did ka jo gila bhi hai to wo tar nahin jo chhuri bhi har to rawan nahin main wo sarw-e-bagh-e-wajud hun main wo gul hun sham-e-hayat ka jise fasl-e-gul ki khushi nahin jise ranj-e-baad-e-khizan nahin jo uthe to sina ubhaar kar jo chale to thokaren mar kar nae aap hi to jawan hain koi kya jahan mein jawan nahin kidhar ud gaya mera qafila ki zamin phat ke sama gaya na ghubar utha na jaras baja kahin naqsh-e-pa ka nishan nahin ye mai-e-farng ki kashtiyan bhi safina-ha-e-najat hain kabhi us ka beda na par ho jo murid-e-pir-e-mughan nahin utho 'qadr' un pe na jaan do aji jaan hai to jahan hai koi kaam aisa bhi karta hai are miyan nahin are miyan nahin