rabte bhi nahin fasla bhi nahin dur hun tujh se lekin juda bhi nahin maut hi se sahi zaiqe to mile zindagi mein to koi maza bhi nahin kis ki aankhon mein dekhen mohabbat ka aks ab to aisa koi aaina bhi nahin lakh ghurbat shikaston ke saman kare haarne wali meri ana bhi nahin chand tare chamakte hain un ke liye jin ke ghar raushni ko diya bhi nahin umr rahte hue kar lo ishq-o-wafa ye wo wajib hai jis ki qaza bhi nahin meri khamoshiyan us ki sargoshiyan main ne sab kah diya aur kaha bhi nahin un ka 'meraj' kaisa ajab tarz hai be-wafa bhi nahin ba-wafa bhi nahin