kabhi milega to teri aankhon mein dekhna hai haya ka pani nibat gaya ya bacha hua hai dikha raha hai ki gham nahin hai tujhe bichhad kar tu kitna andar sisak raha hai mujhe pata hai main aisi pagal ki ab bhi sapne saja rahi hun tu aisa ziddi na jaane kab ka mukar gaya hai jo chahte hain nibah wo to nibha rahe hain aur ek tu hai qasam utha kar palat raha hai teri hi khatir khuda se main bhi dua karungi tujhe wo sab kuchh mile jo tu ne mujhe diya hai