rachi dimagh mein ho jis ke us badan ki bu khush aawe kab use nasrin-o-nastaran ki bu wo jis ne sunghi ho ek dafa us ke tan ki bu na itr ki use bhawe na yasman ki bu hazar jaan se mushk-e-khutan ho halqa-ba-gosh jo sungh le kabhi us zulf-e-pur-shikan ki bu basa ho dil mein bhala jis ke wo gul-e-khubi pasand aae use kis tarah chaman ki bu masham-e-jaan hui yaqub ki wahin taza jo pahunchi misr se yusuf ke pairahan ki bu kahan hai seb mein seb-e-zaqan ki si bu-bas jahan mein ruh-faza hai to hai zaqan ki bu masham-e-jaan ko tar-o-taza 'aish' karti hai jahan ke bagh mein guldasta-e-sukhan ki bu