rafiqon ko madad karne pukara hum nahin karte khuda kafi hai bandon ka sahaara hum nahin karte zaban ye haq ki aadi hai kisi se dar nahin sakti sabhi kuchh khul ke kahte hain ishaara hum nahin karte samundar mein utar ke rukh hawa ka mod dete hain kabhi sahil se tufan ka nazara hum nahin karte ye khuddari hamari hum ko apni jaan se pyari hai jhuka ke sar ko tukdon par guzara hum nahin karte sabaq lete hain hum apni khata se ilm pate hain khata jo hum se ho jae dobara hum nahin karte badi mushkil se sikha hai sabaq hum ne siyasat ka tujhe qadmon mein rakhte hain sitara hum nahin karte hamari jeb khali hai to kya ye dil hai shahon ka faqiri mein bhi muflis se kinara hum nahin karte ye mumkin hai ki kuchh kadwi lagen 'shamsher' ki baaten khare alfaz likhte hain ye aara hum nahin karte