kante hon ya phul akele chunna hoga hum jaisa mohtat hamesha tanha hoga fikr o taraddud mein har dam kya ghulte rahna hoga to bas wo hi jo kuchh hona hoga us se kya kahna hai pahle ye to tai ho phir sochenge kya anjam hamara hoga jin mein kho kar hum khud ko bhi bhul gae hain kya hum ko bhi un aankhon ne dhunda hoga pathrili dharti hai ankur kya phutenge be-shak baadal tut ke in par barsa hoga teshe aur junun ki baaten bas baaten hain kaun bhala marta hai kaun diwana hoga meri tarah tute aaine mein us ne bhi tukde tukde apne aap ko paya hoga teri to 'bilqis' nirali hi baaten hain is duniya mein kaise tera guzara hoga