raft o aamad bana raha hun main rah-e-maqsad bana raha hun main kaam mein la ke kuchh khas-o-khashak apni masnad bana raha hun main zindagi jurm to nahin lekin ho ke sarzad bana raha hun main yunhi bekar main pada khud ko kar-amad bana raha hun main goya apni hudud se badh kar apni sarhad bana raha hun main kar raha hun hayat-e-nau tamir apna marqad bana raha hun main de raha hun jila shararon ko khud ko mubad bana raha hun main mah ki aaj phir gahan ban kar tab-e-aswad bana raha hun main munharif ho ke us ki chahat se khud ko murtad bana raha hun main wo ki ban pa nahin raha mujh se jo ki shayad bana raha hun main ug raha hun main aur sath apne sar pe bargad bana raha hun main