itne dukhi hain hum ko masarrat bhi gham bane amrit hamare hont se mas ho to sam bane roe ba-rang-e-abr farishte bhi gundh kar kis dasht-e-ashk-o-ah ki mitti se hum bane kuchh aur bhi to shish-mahal raste mein the kyun hum faqat nishana-e-sang-e-sitam bane aankhon ke samne hai shikasta dar-e-sukun hum tak rahe hain der se taswir-e-gham bane barse hain dasht-e-zist mein hum par wo sang-o-khisht yakja simat ke aaen to koh-e-alam bane lahje ke bankpan mein chhupate hain dil ka soz hum aise rakh-rakhao ke fankar kam bane jo dastan mitai ziyaada likhi gai jitne hamare hath tarashe qalam bane 'zulfi' wo sarzamin ki jahan dafn hai 'shakeb' wo kyun na ahl-e-fan ke liye mohtaram bane