rafta rafta dard-e-dil yun kam ho jata hai mera gham us ki khushiyon mein zam ho jata hai sanson ka sanson se jab sangam ho jata hai resha resha ruh ka tab resham ho jata hai koi kashish hai us ki baaton mein bartao mein us ke aage har chehra mubham ho jata hai yahi soch kar tum dil ki rakhwali karna dost kadi dhup mein ye kaghaz bhi nam ho jata hai jaane kaise mera qad auron ki nazron mein kabhi ziyaada aur kabhi kuchh kam ho jata hai sath nibhane ki thani hai to ye bhi sun lo in rahon mein saya bhi barham ho jata hai jism thaka-manda ho lekin ghar tak aate hi ek masum hansi se taza-dam ho jata hai