guman yahi hai ki dil khud udhar ko jata hai so shak ka faeda us ki nazar ko jata hai haden wafa ki bhi aakhir hawas se milti hain ye rasta bhi idhar se udhar ko jata hai ye dil ka dard to umron ka rog hai pyare so jae bhi to pahar do pahar ko jata hai ye haal hai ki kai raste hain pesh-e-nazar magar khayal teri rah-guzar ko jata hai tu 'anwari' hai na 'ghaalib' to phir ye kyun hai 'faraaz' har ek sail-e-bala tere ghar ko jata hai