rafta rafta dil-e-be-tab Thahar jaega

rafta rafta dil-e-be-tab thahar jaega
rafta rafta teri nazron ka asar jaega

dad be-dad ki is mein koi takhsis nahin
naqsh-e-hasti mein koi rang to bhar jaega

aap agar mail-e-tajdid-e-sitam ho jaen
rang-e-talim-e-wafa aur nikhar jaega

arz-e-tishna pe baras abr-e-rawan khul ke baras
baat rah jaegi ye waqt guzar jaega

dhup aur chhanw musallam magar apni had mein
waqt paband nahin hai ki thahar jaega

raushni mein hai charaghon ke tale tariki
hum samajhte the ki mahaul sanwar jaega

ishq to apni jagah kaif-e-musalsal hai 'uruj'
nashsha-e-baada nahin hai jo utar jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close