pa-e-talab ki manzil ab tak wahi gali hai

pa-e-talab ki manzil ab tak wahi gali hai
aaghaz bhi yahi tha anjam bhi yahi hai

jis dastan-e-gham ka unwan raushni hai
har lafz ki siyahi khud munh se bolti hai

tarz-e-tapak qaem lutf-e-nazar wahi hai
lekin ye waqia hai phir bhi koi kami hai

un ki nazar se dil ki ye bahs ho rahi hai
kya chiz zindagi mein maqsud-e-zindagi hai

har laghzish-e-bashar par tanqid karne walo
tum ye bhula chuke ho insan aadmi hai

ye sazish-e-taghayyur hai kitni jaan-lewa
mujh ko jaga ke meri taqdir so gai hai

han mere waste hai takhsis ka ye pahlu
duniya samajh rahi hai andaz-e-be-rukhi hai

mumkin nahin ki daman be-dagh ho kisi ka
sach puchhiye to duniya kajal ki kothari hai

tabinda har-nafas hai ummid ki badaulat
mehrab-e-zindagi mein ek shama jal rahi hai

dekhe to koi shan-e-sahar-e-nigah-e-saqi
saghar mein khinch ke ruh-e-mai-e-khana aa gai hai

wabasta-e-nafas hai nazm-o-nizam-e-hasti
yani hawa pe qaem buniyaad=-e-zindagi hai

kab tak ye khwab-e-ghaflat jago 'uruj' jago
ab dhup badhte badhte sar par hi aa gai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close