rafta rafta khatm qissa ho gaya hona hi tha wo bhi aakhir mere jaisa ho gaya hona hi tha dasht-e-imkan mein ye mera mashghala bhi khub hai rauzan-e-diwar chehra ho gaya hona hi tha dubta suraj tumhaari yaad wapas kar gaya sham aai zakhm taza ho gaya hona hi tha ahd-e-zabt-e-gham pe qaim tha dam-e-rukhsat magar wo sukut-e-jaan bhi dariya ho gaya hona hi tha ab tu hi ye fasla tai kar sake to kar bhi le main to khud apna hi zina ho gaya hona hi tha main ne bhi parchhaiyon ke shahr ki phir rah li aur wo bhi apne ghar ka ho gaya hona hi tha