zahrab-e-tishnagi ka maza hum se puchhiye guzri hui sadi ka maza hum se puchhiye ek pal khayal-e-yar mein hum munhamik rahe ek pal mein ek sadi ka maza hum se puchhiye shohrat ki be-khudi ka maza aap jaaniye izzat ki zindagi ka maza hum se puchhiye kaif-o-nashat jis se mila hum ko barha is karb-e-agahi ka maza hum se puchhiye fikr-e-jahan hai aur na lutne ka khauf hai qallash zindagi ka maza hum se puchhiye fikr-e-sukhan mein hum ne zamane ki sair ki 'arif' sukhanwari ka maza hum se puchhiye