rafta rafta rang bikharte jate hain taswiron ke dagh ubharte jate hain waqt ki sazish gahri hoti jati hai diwaron ke rang utarte jate hain ban kar phir aaseb bhatakne lagte hain dil ke wo ehsas jo marte jate hain yaadon mein ek tis bani hi rahti hai dhire dhire zakhm to bharte jate hain aakhir tak insan akela rahta hai yun hi mah-o-sal guzarte jate hain aab-o-dana aur nasheman ke sapne panchhi ki parwaz katarte jate hain zakhmon mein har roz izafa hota hai ghazlon ke mafhum sanwarte jate hain