khizan ki rut hai janam-din hai aur dhuan aur phul hawa bikher gai mom-battiyan aur phul wo log aaj khud ek dastan ka hissa hain jinhen aziz the qisse kahaniyan aur phul ye sab tere mere izhaar ki alamat hain shafaq ke rang mein shoala, lahu, zaban aur phul yaqin kar ki yahi hai bujhe dilon ka ilaj teri wafa teri chahat tera guman aur phul 'zafar' main surat-e-khushbu qayam karta hun so ek se mujhe lagte hain sab makan aur phul