raftar-e-zindagi zara tham jao to sahi

raftar-e-zindagi zara tham jao to sahi
fursat mein mere ghar ki taraf aao to sahi

ek bewafa ke gham mein tadapne se faeda
nadan dil hai is ko bhi samjhao to sahi

khushiyan bhi tere gham ke jhamele mein gum huin
mauqa mile to dard mein muskao to sahi

kis kis tarah main teri utarungi aarti
aangan mein nange panw zara aao to sahi

yaadon ka 'naz' silsila tute na ab kabhi
dil ko kisi ke waste tadpao to sahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close