wo gham mila ki us ko samundar bana diya patthar si aarzuon ko gauhar bana diya ye majra to basne basane ki baat hai ek dil tha mere pas tera ghar bana diya phir karwan ke lutne ka shikwa nahin karen jab rahzanon ko aap ne rahbar bana diya aise shafiq log bhi hain is zamin par bas ek nigah ki aur muqaddar bana diya us ham-safar ko kaise bhulaungi umr bhar jis ne safar ko 'naz' hasin-tar bana diya