rag-o-pai mein sarayat kar gaya wo mujhi ko mujh se rukhsat kar gaya wo na thahra koi mausam wasl-e-jaan ka mutayyan rah furqat kar gaya wo man o tu ki giri diwar sar par bayan kaisi haqiqat kar gaya wo darun-e-khana se ghafil hai lekin barun-e-khana zinat kar gaya wo sar-e-shab hi mein aksar jal bujha hun har ek khwahish ko lat-pat kar gaya wo hawadis ka wo tund o shokh jhonka samar dil ka akarat kar gaya wo mata-e-gham chhupa kar kyun na rakkhun hawale ye amanat kar gaya wo tumhein bhi bhulne ki koshishen kin ki khud par bhi qayamat kar gaya wo sukun-amez lamhon mein 'farid' ab farogh-e-ranj-o-mehnat kar gaya wo