rah apni na rahbar apna

rah apni na rahbar apna
kaamran kaise ho safar apna

naz kya aarzi thikane par
shahr apna na koi ghar apna

ab jo hoga wo dekha jaega
aap ka dar hai aur sar apna

hum ko jine ki aarzu hai abhi
kyon hai mayus chaaragar apna

phir nai manzilen talashte hain
khatm hota nahin safar apna

log hote hain mustafid to hon
hum nahin bechte hunar apna

nau-e-insan ke kaam aae adab
hai yahi nuqta-e-nazar apna

baat karte hain hum khuda lagti
aur lahja hai mo'atabar apna

sher-goi mein nam hai 'maqbul'
ye taaruf hai mukhtasar apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close